jo ranjishen thin unhen barqarar rahne diya
jo ranjisheñ thiiñ unheñ barqarār rahne diyā
gale mile bhī to dil meñ ġhubār rahne diyā
na.e makān kī tā'mīr kar to lī ham ne
purānī chhat ko magar barqarār rahne diyā
na koī ḳhvāb dikhāyā na ġham diyā us ko
bas us kī āñkhoñ meñ ik intizār rahne diyā
use bhulā bhī diyā yaad bhī rakhā us ko
nasha utaar diyā aur ḳhumār rahne diyā
galī ke moḌ se āvāz de ke lauT aa.e
tamām raat use be-qarār rahne diyā
vo ham ko toḌ ke jaatā to bhuul jaate use
nikalne vaale ne lekin hisār rahne diyā
na jaane kyā thā ki us se fareb khā kar bhī
usī ke haath meñ sab iḳhtiyār rahne diyā
ye sard rut bhī hameñ ḳhud ko tāpte guzrī
ġhazal ko ham ne magar sāya-dār rahne diyā
baḌā gumān thā us ko hamārī chāhat kā
'shakīl' ham ne bhī us kā ḳhumār rahne diyā
jo ranjishen thin unhen barqarar rahne diya
gale mile bhi to dil mein ghubar rahne diya
nae makan ki ta'mir kar to li hum ne
purani chhat ko magar barqarar rahne diya
na koi KHwab dikhaya na gham diya us ko
bas us ki aankhon mein ek intizar rahne diya
use bhula bhi diya yaad bhi rakha us ko
nasha utar diya aur KHumar rahne diya
gali ke moD se aawaz de ke lauT aae
tamam raat use be-qarar rahne diya
wo hum ko toD ke jata to bhul jate use
nikalne wale ne lekin hisar rahne diya
na jaane kya tha ki us se fareb kha kar bhi
usi ke hath mein sab iKHtiyar rahne diya
ye sard rut bhi hamein KHud ko tapte guzri
ghazal ko hum ne magar saya-dar rahne diya
baDa guman tha us ko hamari chahat ka
'shakil' hum ne bhi us ka KHumar rahne diya
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 82)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.