jo sans sans sahi us saza ka nam na lo
jo saañs saañs sahī us sazā kā naam na lo
hamāre saath raho bas vafā kā naam na lo
kaho to ye kaho dil ko ḳhush aa rahī hai havā
mashām-e-jāñ se guzartī sabā kā naam na lo
huzūr-e-husn jo rahnā hai yuuñ hī ḳhush-auqāt
sitāra o jigar-e-soḳhta kā naam na lo
milī hai jo nigah-e-yār kī ishārat se
razā-e-yār hai ye tum qazā kā naam na lo
bikharne lagtī hai ruḳh par hayā usī jaisī
hamāre sāmne us ḳhush-adā kā naam na lo
ye ahd-e-ishq tire mere darmiyāñ hī rahe
ḳhudā ke vāste is meñ ḳhudā kā naam na lo
jo sans sans sahi us saza ka nam na lo
hamare sath raho bas wafa ka nam na lo
kaho to ye kaho dil ko KHush aa rahi hai hawa
masham-e-jaan se guzarti saba ka nam na lo
huzur-e-husn jo rahna hai yun hi KHush-auqat
sitara o jigar-e-soKHta ka nam na lo
mili hai jo nigah-e-yar ki ishaarat se
raza-e-yar hai ye tum qaza ka nam na lo
bikharne lagti hai ruKH par haya usi jaisi
hamare samne us KHush-ada ka nam na lo
ye ahd-e-ishq tere mere darmiyan hi rahe
KHuda ke waste is mein KHuda ka nam na lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.