jo sazishen thin jali bastiyan batati hain
jo sāzisheñ thiiñ jalī bastiyāñ batātī haiñ
ye dard vo haiñ jo ḳhāmoshiyāñ batātī haiñ
kisī ne jhiil ke paanī meñ zahr ghol diyā
jo nīm-jāñ haiñ abhī machhliyāñ batātī haiñ
vo bad-havās haiñ kitnī charāġh jalne se
in āñdhiy.oñ kī ye bechainiyāñ batātī haiñ
kabhī vo mill kī mashīnoñ meñ kaam kartā thā
us aadmī kī kaTī uñgliyāñ batātī haiñ
hamāre saath sharīk-e-safar haiñ tūfāñ bhī
hameñ to rāsta bhī bijliyāñ batātī haiñ
tumheñ bhī koī gila to zarūr hai mujh se
tumhāre lahje kī ye talḳhiyāñ batātī haiñ
yahāñ makīn haiñ ohde gharoñ meñ log nahīñ
daroñ pe laTkī huī taḳhtiyāñ batātī haiñ
jo sazishen thin jali bastiyan batati hain
ye dard wo hain jo KHamoshiyan batati hain
kisi ne jhil ke pani mein zahr ghol diya
jo nim-jaan hain abhi machhliyan batati hain
wo bad-hawas hain kitni charagh jalne se
in aandhiyon ki ye bechainiyan batati hain
kabhi wo mill ki mashinon mein kaam karta tha
us aadmi ki kaTi ungliyan batati hain
hamare sath sharik-e-safar hain tufan bhi
hamein to rasta bhi bijliyan batati hain
tumhein bhi koi gila to zarur hai mujh se
tumhaare lahje ki ye talKHiyan batati hain
yahan makin hain ohde gharon mein log nahin
daron pe laTki hui taKHtiyan batati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.