jo sajta hai kalai par koi zewar hasinon ki
jo sajtā hai kalā.ī par koī zevar hasīnoñ kī
tabhī baḌhtī haiñ qīmat jauharī tere nagīnoñ kī
uThā detī hai dīvāreñ diloñ ke biich ye aksar
zarūrat kyuuñ ho phir ham ko bhalā aisī zamīnoñ kī
usī meñ chhed karte haiñ ki jis thālī meñ khāte haiñ
badal saktī nahīñ aadat kabhī aisī kamīnoñ kī
bharā hai laakh phūloñ se mire ghar kā hasīñ āñgan
yahī hai merī daulat mujh ko kyā chāhat dafīnoñ kī
kabhī mehnat mashaqqat se kamā loge bahut daulat
magar badloge tum kaise lakīroñ ko jabīnoñ kī
uThā kar ek baar un ko lagā lo apne hoñToñ se
chueñgī āsmāñ ko qīmateñ un ābgīnoñ kī
jo nukta-chīñ haiñ rahnā hai hamesha nukta-chīñ un ko
badal saktī nahīñ fitrat kabhī bhī nukta-chīnoñ kī
jo sajta hai kalai par koi zewar hasinon ki
tabhi baDhti hain qimat jauhari tere naginon ki
uTha deti hai diwaren dilon ke bich ye aksar
zarurat kyun ho phir hum ko bhala aisi zaminon ki
usi mein chhed karte hain ki jis thaali mein khate hain
badal sakti nahin aadat kabhi aisi kaminon ki
bhara hai lakh phulon se mere ghar ka hasin aangan
yahi hai meri daulat mujh ko kya chahat dafinon ki
kabhi mehnat mashaqqat se kama loge bahut daulat
magar badloge tum kaise lakiron ko jabinon ki
uTha kar ek bar un ko laga lo apne honTon se
chuengi aasman ko qimaten un aabginon ki
jo nukta-chin hain rahna hai hamesha nukta-chin un ko
badal sakti nahin fitrat kabhi bhi nukta-chinon ki
- Book : Rehguzar (Pg. 61)
- Author : Shobha Kukkal
- Publication : Kalpant publication B-2 Mansrovar park shahdra delhi-32 (2012-2013)
- Edition : 2012-2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.