Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo samae the kabhi aankh mein tare ban kar

Sabir Naseerabadi

jo samae the kabhi aankh mein tare ban kar

Sabir Naseerabadi

MORE BYSabir Naseerabadi

    jo samā.e the kabhī aañkh meñ taare ban kar

    aaj āñkhoñ meñ sulagte haiñ sharāre ban kar

    Dūbne vaale safīnoñ ko fanā hone do

    ik na ik roz ye ubhreñge kināre ban kar

    kārvāñ luuT liyā ġhairoñ ne is ġham kyā

    ġham hai luuTā hameñ apnoñ ne sahāre ban kar

    ḳhuun mazlūm kab tak ye zamīñ chūsegī

    jism se phūTegā ye aag ke dhāre ban kar

    apnī āñkhoñ se baraste haiñ jo motī 'sābir'

    jagmagā.eñge kisī roz sitāre ban kar

    jo samae the kabhi aankh mein tare ban kar

    aaj aankhon mein sulagte hain sharare ban kar

    Dubne wale safinon ko fana hone do

    ek na ek roz ye ubhrenge kinare ban kar

    karwan luT liya ghairon ne is ka gham kya

    gham hai luTa hamein apnon ne sahaare ban kar

    KHun mazlum ka kab tak ye zamin chusegi

    jism se phuTega ye aag ke dhaare ban kar

    apni aankhon se baraste hain jo moti 'sabir'

    jagmagaenge kisi roz sitare ban kar

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now