jo shahon ko nahin hasil wo jauhar pas rakhta hai
jo shahon ko nahin hasil wo jauhar pas rakhta hai
Mohammad Abdul Kabeer Hanfi
MORE BYMohammad Abdul Kabeer Hanfi
jo shāhoñ ko nahīñ hāsil vo jauhar paas rakhtā hai
sukūn-e-qalb har shahzāda-e-iflās rakhtā hai
vo apnī zaat ko mahv-e-qunūt-o-yās rakhtā hai
samundar ḳhud ko kahtā hai laboñ par pyaas rakhtā hai
haiñ taḳht-o-tāj kī ḳhātir dayār-e-kufr ke sajde
magar momin faqat allāh par vishvās rakhtā hai
musalsal chīḳhtā rahtā hai ham ye jang jīteñge
jo har lamha shikast-e-fāsh kā ehsās rakhtā hai
shurūr-e-nafs aur ḳhannās phir bhī ġhālib aate haiñ
agarche vo laboñ par sūra-e-vannās rakhtā hai
tavajjoh ko vahī markaz vo taskīn-e-nigāh-o-dil
vo saada shaḳhs jo kirdār kī bū-bās rakhtā hai
jiyo to is tarah jaise vatan kī tum zarūrat ho
vagarna be-hunar se kaun 'hanafī' aas rakhtā hai
jo shahon ko nahin hasil wo jauhar pas rakhta hai
sukun-e-qalb har shahzada-e-iflas rakhta hai
wo apni zat ko mahw-e-qunut-o-yas rakhta hai
samundar KHud ko kahta hai labon par pyas rakhta hai
hain taKHt-o-taj ki KHatir dayar-e-kufr ke sajde
magar momin faqat allah par wishwas rakhta hai
musalsal chiKHta rahta hai hum ye jang jitenge
jo har lamha shikast-e-fash ka ehsas rakhta hai
shurur-e-nafs aur KHannas phir bhi ghaalib aate hain
agarche wo labon par sura-e-wannas rakhta hai
tawajjoh ko wahi markaz wo taskin-e-nigah-o-dil
wo sada shaKHs jo kirdar ki bu-bas rakhta hai
jiyo to is tarah jaise watan ki tum zarurat ho
wagarna be-hunar se kaun 'hanafi' aas rakhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.