jo shab-e-siyah se Dar gae kisi sham hi mein bhaTak gae
jo shab-e-siyah se Dar gae kisi sham hi mein bhaTak gae
Anand Narayan Mulla
MORE BYAnand Narayan Mulla
jo shab-e-siyāh se Dar ga.e kisī shaam hī meñ bhaTak ga.e
vahī tājdār-e-sahar bane jo siyāhiyoñ meñ chamak ga.e
na banāyā muñh kisī jaam par na lagāyā dil kisī jaam se
jo laboñ tak aa.e vo pī liye jo chhalak ga.e vo chhalak ga.e
hai hayāt-e-jehd nafas nafas rah-e-āshiyāñ hai qafas qafas
jo na nok-e-ḳhār pe chal sake rah-e-zindagī se bhaTak ga.e
tujhe kuchh ḳhabar bhī hai mohtasib isī bazm meñ tire sāmne
laḌeñ duur hī se nigāheñ kabhī yuuñ bhī jaam khanak ga.e
mire rahnumā-e-suḳhan-sarā kabhī mimbaroñ se utar zarā
koī gaam rāh-e-amal meñ bhī tirī guftugū se to thak ga.e
haiñ na jaane kitne gul-e-hasīñ jo chhupā.e āriz-e-ātishīñ
liye apnā sāġhar-e-ambarīñ kisī dasht hī meñ mahak ga.e
kahūñ kyā maiñ ziist kī dāstāñ use yuuñ samajh mire mehrbāñ
kabhī harf-e-bazm jo sun liyā to nazar ke jaam chhalak ga.e
rah-e-ilm shak kī haiñ sīḌhiyāñ yahī zehn zinda kā hai nishāñ
jise iḳhtilāf meñ ho gumāñ vo hamīñ na hoñ jo bahak ga.e
na nazar milī na zabāñ khulī chhupī phir bhī dil kī na bekalī
kabhī duur jā ke palaT paḌe kabhī paas jā ke ThiThuk ga.e
chalī bād-e-jabr agar to kyā mujhe yuuñ jahāñ na bujhā sakā
mujhe raas aa.ī yahī huā mirā sho.ale aur bhaḌak ga.e
mire zehn-o-dil kī basīrateñ ġham-e-zindagī kī haqīqateñ
mire lab pe giit nahīñ haiñ vo ki jo pāyaloñ meñ chhanak ga.e
suneñ bām-o-hosh pe jā ke kyuuñ tirī 'mullā' āyat-e-be-maza
abhī koī ishq meñ raat ko vo ġhazal sunī ki phaḌak ga.e
jo shab-e-siyah se Dar gae kisi sham hi mein bhaTak gae
wahi tajdar-e-sahar bane jo siyahiyon mein chamak gae
na banaya munh kisi jam par na lagaya dil kisi jam se
jo labon tak aae wo pi liye jo chhalak gae wo chhalak gae
hai hayat-e-jehd nafas nafas rah-e-ashiyan hai qafas qafas
jo na nok-e-KHar pe chal sake rah-e-zindagi se bhaTak gae
tujhe kuchh KHabar bhi hai mohtasib isi bazm mein tere samne
laDen dur hi se nigahen kabhi yun bhi jam khanak gae
mere rahnuma-e-suKHan-sara kabhi mimbaron se utar zara
koi gam rah-e-amal mein bhi teri guftugu se to thak gae
hain na jaane kitne gul-e-hasin jo chhupae aariz-e-atishin
liye apna saghar-e-ambarin kisi dasht hi mein mahak gae
kahun kya main zist ki dastan use yun samajh mere mehrban
kabhi harf-e-bazm jo sun liya to nazar ke jam chhalak gae
rah-e-ilm shak ki hain siDhiyan yahi zehn zinda ka hai nishan
jise iKHtilaf mein ho guman wo hamin na hon jo bahak gae
na nazar mili na zaban khuli chhupi phir bhi dil ki na bekali
kabhi dur ja ke palaT paDe kabhi pas ja ke ThiThuk gae
chali baad-e-jabr agar to kya mujhe yun jahan na bujha saka
mujhe ras aai yahi hua mera shoale aur bhaDak gae
mere zehn-o-dil ki basiraten gham-e-zindagi ki haqiqaten
mere lab pe git nahin hain wo ki jo payalon mein chhanak gae
sunen baam-o-hosh pe ja ke kyun teri 'mulla' aayat-e-be-maza
abhi koi ishq mein raat ko wo ghazal suni ki phaDak gae
- Book : Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 536)
- Author : Khaliq Anjum
- Publication : National Council for Promotion of Urdu Language-NCPUL (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.