jo shaKHs aab-o-hawa par yaqin rakhta hai
jo shaḳhs āb-o-havā par yaqīn rakhtā hai
vo mausamoñ kī atā par yaqīn rakhtā hai
tamām umr mohabbat nahīñ milī jis ko
sunā hai vo bhī ḳhudā par yaqīn rakhtā hai
charāġh us kā kabhī bhī jalā nahīñ lekin
vo aaj tak bhī duā par yaqīn rakhtā hai
hamesha TuuT ke aatā hai mere pahlū meñ
vo bevafā bhī vafā par yaqīn rakhtā hai
koī ġharaz nahīñ us ko kisī saḳhāvat se
faqīr apnī sadā par yaqīn rakhtā
hazār us ko sahāre mileñ magar 'sāhil'
nā-bīnā apne asā par yaqīn rakhtā hai
jo shaKHs aab-o-hawa par yaqin rakhta hai
wo mausamon ki ata par yaqin rakhta hai
tamam umr mohabbat nahin mili jis ko
suna hai wo bhi KHuda par yaqin rakhta hai
charagh us ka kabhi bhi jala nahin lekin
wo aaj tak bhi dua par yaqin rakhta hai
hamesha TuT ke aata hai mere pahlu mein
wo bewafa bhi wafa par yaqin rakhta hai
koi gharaz nahin us ko kisi saKHawat se
faqir apni sada par yaqin rakhta
hazar us ko sahaare milen magar 'sahil'
na-bina apne asa par yaqin rakhta hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 553)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.