jo shaKHs mujh mein baqi hai wo ‘madhwi’ nahin
jo shaḳhs mujh meñ baaqī hai vo ‘mādhvī’ nahīñ
kuchh saal ho chuke haiñ ḳhabar aaj kī nahīñ
tum se ḳhafā nahīñ huuñ ye aadat hī hai merī
jab tak bahut zarūrī na ho boltī nahīñ
kah to rahe haiñ baiThiye kuchh der paas meñ
aur ye bhī kah rahe haiñ jagah aap kī nahīñ
sāda-mizāj dil pe chaḌhā.e tamām rang
phir ye shikāyateñ bhī ki vo sādgī nahīñ
kyoñ rāzdār kah ke use āzmā.eñ ham
so apne dil kī baat use bhī kahī nahīñ
ab bhī nazar bachāne kī pur-zor koshisheñ
ya.anī abhī maiñ us ke liye ajnabī nahīñ
jo shaKHs mujh mein baqi hai wo ‘madhwi’ nahin
kuchh sal ho chuke hain KHabar aaj ki nahin
tum se KHafa nahin hun ye aadat hi hai meri
jab tak bahut zaruri na ho bolti nahin
kah to rahe hain baiThiye kuchh der pas mein
aur ye bhi kah rahe hain jagah aap ki nahin
sada-mizaj dil pe chaDhae tamam rang
phir ye shikayaten bhi ki wo sadgi nahin
kyon raazdar kah ke use aazmaen hum
so apne dil ki baat use bhi kahi nahin
ab bhi nazar bachane ki pur-zor koshishen
yani abhi main us ke liye ajnabi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.