jo shor karte rahe shor hi mein Dub gae
jo shor karte rahe shor hī meñ Duub ga.e
sab apne zauq-e-junūñ kī nadī meñ Duub ga.e
ajiib sāneha guzrā hai nukta-dānoñ par
jis āgahī se vo ubhre usī meñ Duub ga.e
rafīq ban ke jab aaya nayā ḳhayāl koī
ḳhushī kuchh itnī milī ham ḳhushī meñ Duub ga.e
kisī taraf se bhī koī sadā nahīñ aa.ī
parinde shaam hī se ḳhāmushī meñ Duub ga.e
ab apne zarf ke tābūt par haiñ nauha-kunāñ
jo log apnī hī ḳhush-āgahī meñ Duub ga.e
zabān-o-lafz ke ab tak hazāroñ jādūgar
ḳhud apne fan kī añdherī galī meñ Duub ga.e
ubhar sake na jo hālāt ke thapeḌoñ se
vo rafta rafta ġham-e-zindagī meñ Duub ga.e
jo shor karte rahe shor hi mein Dub gae
sab apne zauq-e-junun ki nadi mein Dub gae
ajib saneha guzra hai nukta-danon par
jis aagahi se wo ubhre usi mein Dub gae
rafiq ban ke jab aaya naya KHayal koi
KHushi kuchh itni mili hum KHushi mein Dub gae
kisi taraf se bhi koi sada nahin aai
parinde sham hi se KHamushi mein Dub gae
ab apne zarf ke tabut par hain nauha-kunan
jo log apni hi KHush-agahi mein Dub gae
zaban-o-lafz ke ab tak hazaron jadugar
KHud apne fan ki andheri gali mein Dub gae
ubhar sake na jo haalat ke thapeDon se
wo rafta rafta gham-e-zindagi mein Dub gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.