jo sine par teri zulfon ka abr aata to behtar tha
jo siine par terī zulfoñ kā abr aatā to behtar thā
jilā-e-qalb hotī dil sañbhal jaatā to behtar thā
kisī lailā se kam jaanā nahīñ tujh ko kabhī ham ne
tujhe bhī ham meñ koī qais dikh jaatā to behtar thā
nahīñ paanī mayassar to in āñkhoñ ko to dhokā ho
sarāb-e-reg se ik pal ko chain aatā to behtar thā
ye kaise dost maiñ ne āstīnoñ meñ basā.e haiñ
na hotā in se gar merā koī naata to behtar thā
vo ik jo gosha-e-dil DhūñDhtā huuñ maiñ ye dil le ke
usī ko DhūñDhne meñ ye bhī kho jaatā to behtar thā
javāñ beTā ki jis se baap kuchh kahtā hai Dar Dar ke
vo apne baap se thoḌā sā Dar jaatā to behtar thā
siyāsat tere dāman par ye itne daaġh kaise haiñ
kisī ke ḳhuun se ye bhī chamak jaatā to behtar thā
jo sine par teri zulfon ka abr aata to behtar tha
jila-e-qalb hoti dil sanbhal jata to behtar tha
kisi laila se kam jaana nahin tujh ko kabhi hum ne
tujhe bhi hum mein koi qais dikh jata to behtar tha
nahin pani mayassar to in aankhon ko to dhoka ho
sarab-e-reg se ek pal ko chain aata to behtar tha
ye kaise dost main ne aastinon mein basae hain
na hota in se gar mera koi nata to behtar tha
wo ek jo gosha-e-dil DhunDhta hun main ye dil le ke
usi ko DhunDhne mein ye bhi kho jata to behtar tha
jawan beTa ki jis se bap kuchh kahta hai Dar Dar ke
wo apne bap se thoDa sa Dar jata to behtar tha
siyasat tere daman par ye itne dagh kaise hain
kisi ke KHun se ye bhi chamak jata to behtar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.