jo sikhana hai to phir is Dhang ki baaten sikha
jo sikhana hai to phir is Dhang ki baaten sikha
Zaki Tariq Barabankavi
MORE BYZaki Tariq Barabankavi
jo sikhānā hai to phir is Dhang kī bāteñ sikhā
kar luuñ sab ke dil meñ ghar aisī munājāteñ sikhā
mujh ko tanhā karne se pahle ai mere ham-nafas
kaise kāTūñgā maiñ tere hijr kī rāteñ sikhā
duur se dīdār kī bas puurī hoñgī hasrateñ
jo banā deñ āshnā aisī mulāqāteñ sikhā
apne shauq-e-girya se mausam-zada bādal ko tū
kaise be-mausam huā kartī haiñ barsāteñ sikhā
raat ko din karne vaale ai mire shātir aziiz
jaise tū chaltā hai yuuñ chalnā mujhe ghāteñ sikhā
vird ne jin ke tujhe ḳhushiyāñ hī ḳhushiyāñ baḳhshī haiñ
mujh ko bhī paḌhnā mohabbat kī vo āyāteñ sikhā
dard-e-dil āñkhoñ meñ aañsū aur tabassum pyaar meñ
kaise dī jaatī haiñ ye anmol sauġhāteñ sikhā
maiñ bhī me.arāj-e-mohabbat chāhtā huuñ jān-e-man
mujh ko andāz-e-mohabbat kī hidāyāteñ sikhā
ishq se nā-āshnā huuñ tere jalvoñ kī qasam
aa ke apne husn-e-dilkash kī mudārāteñ sikhā
jo sikhana hai to phir is Dhang ki baaten sikha
kar lun sab ke dil mein ghar aisi munajaten sikha
mujh ko tanha karne se pahle ai mere ham-nafas
kaise kaTunga main tere hijr ki raaten sikha
dur se didar ki bas puri hongi hasraten
jo bana den aashna aisi mulaqaten sikha
apne shauq-e-girya se mausam-zada baadal ko tu
kaise be-mausam hua karti hain barsaten sikha
raat ko din karne wale ai mere shatir aziz
jaise tu chalta hai yun chalna mujhe ghaten sikha
wird ne jin ke tujhe KHushiyan hi KHushiyan baKHshi hain
mujh ko bhi paDhna mohabbat ki wo aayaten sikha
dard-e-dil aankhon mein aansu aur tabassum pyar mein
kaise di jati hain ye anmol saughaten sikha
main bhi mearaj-e-mohabbat chahta hun jaan-e-man
mujh ko andaz-e-mohabbat ki hidayaten sikha
ishq se na-ashna hun tere jalwon ki qasam
aa ke apne husn-e-dilkash ki mudaraaten sikha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.