jo sochta hai tu waisa hi haal thoDi hai
jo sochtā hai tū vaisā hī haal thoḌī hai
samajhnā jhūTh ko bhī sach kamāl thoḌī hai
hai kuchh hī lamhe ko ye zulmatoñ kā Derā bhī
ki ziist tīrgī bhī māh-o-sāl thoḌī hai
bahut ġhurūr hai kyoñ tujh ko terī shohrat par
ki shohratoñ kī faqat tū misāl thoḌī hai
haiñ mushkiloñ se bharī rāheñ aur tanhā safar
abhī paḌāv hai manzil ma.aal thoḌī hai
safar meñ comma ko manzil samajhne vaale sun
mirā 'urūj abhī hai zavāl thoḌī hai
tū itnī hasratoñ se mujh ko paḌh rahā hai kyoñ
ġhazal meñ merā hai terā ḳhayāl thoḌī hai
in āñsuoñ ko 'shaġhaf' sabr kaise aa.egā
ye shām-e-hijr hai sub.h-e-visāl thoḌī hai
jo sochta hai tu waisa hi haal thoDi hai
samajhna jhuTh ko bhi sach kamal thoDi hai
hai kuchh hi lamhe ko ye zulmaton ka Dera bhi
ki zist tirgi bhi mah-o-sal thoDi hai
bahut ghurur hai kyon tujh ko teri shohrat par
ki shohraton ki faqat tu misal thoDi hai
hain mushkilon se bhari rahen aur tanha safar
abhi paDaw hai manzil maal thoDi hai
safar mein comma ko manzil samajhne wale sun
mera 'uruj abhi hai zawal thoDi hai
tu itni hasraton se mujh ko paDh raha hai kyon
ghazal mein mera hai tera KHayal thoDi hai
in aansuon ko 'shaghaf' sabr kaise aaega
ye sham-e-hijr hai subh-e-visal thoDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.