jo sochte rahe wo kar guzarna chahte hain
jo sochte rahe vo kar guzarnā chāhte haiñ
ki ḳhvāb āñkhoñ se ghar meñ utarnā chāhte haiñ
sunā.ī detī hai har samt se naved-e-baqā
amīr-e-shahr ki jab log marnā chāhte haiñ
parinda ḳhauf-zada haiñ ki pālne vaale
paroñ ke saath zabāñ bhī katarnā chāhte haiñ
zamīñ kī aarzū sairāb ho kisī sūrat
samundaroñ meñ jazīre ubharnā chāhte haiñ
ubharne lagtī hai ik chīḳh us kināre par
ham us kināre pe jab bhī utarnā chāhte haiñ
adam-subūt-o-shahādat meñ hoñ barī to 'vaqār'
ham apne jurm kā iqbāl karnā chāhte haiñ
jo sochte rahe wo kar guzarna chahte hain
ki KHwab aankhon se ghar mein utarna chahte hain
sunai deti hai har samt se nawed-e-baqa
amir-e-shahr ki jab log marna chahte hain
parinda KHauf-zada hain ki palne wale
paron ke sath zaban bhi katarna chahte hain
zamin ki aarzu sairab ho kisi surat
samundaron mein jazire ubharna chahte hain
ubharne lagti hai ek chiKH us kinare par
hum us kinare pe jab bhi utarna chahte hain
adam-subut-o-shahadat mein hon bari to 'waqar'
hum apne jurm ka iqbaal karna chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.