jo sun sako to suno tum fughan charaghon ki
jo sun sako to suno tum fuġhāñ charāġhoñ kī
laveñ churā lī ga.ī haiñ yahāñ charāġhoñ kī
maiñ ḳhāl-o-ḳhad ke bikharne se bachnā chāhtā huuñ
so mujh ko chāhiye kuchh din amaañ charāġhoñ kī
jise bhī chāhiye vo aa.e raushnī le jaa.e
sajā.e baiThe haiñ ham to dukāñ charāġhoñ kī
yahīñ kahīñ pe mohabbat kā hai paḌāv miyāñ
sunā.ī dene lagī hai azaañ charāġhoñ kī
sahar se kahiye ki Thahre aur intizār kare
maiñ sun rahā huuñ abhī dāstāñ charāġhoñ kī
jo sun sako to suno tum fughan charaghon ki
lawen chura li gai hain yahan charaghon ki
main KHal-o-KHad ke bikharne se bachna chahta hun
so mujh ko chahiye kuchh din aman charaghon ki
jise bhi chahiye wo aae raushni le jae
sajae baiThe hain hum to dukan charaghon ki
yahin kahin pe mohabbat ka hai paDaw miyan
sunai dene lagi hai azan charaghon ki
sahar se kahiye ki Thahre aur intizar kare
main sun raha hun abhi dastan charaghon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.