jo suli ke muqaddar mein rakhe the
jo suulī ke muqaddar meñ rakhe the
ham aise bad-nasīboñ ke gale the
hamārā vaqt puurā ho rahā thā
kisī ke muñh pe bārah baj rahe the
aziyyat lutf dene lag ga.ī thī
so nāḳhun se kalā.ī kāTte the
mohabbat mujh ko kāfir kar rahī hai
mire donoñ farishtoñ ke gile the
zamīñ sonā ugalne lag paḌī thī
mire hāthoñ ke chhāle baḌh rahe the
shahanshah jab sitam Dhāne pe aaya
ḳhudā chup thā magar ham to laḌe the
koī sundar pujāran mar ga.ī thī
tabhī to devtā ro.e hue the
koī taḳhtī nahīñ thī shahr-bhar meñ
ki chaurāhoñ pe bas murde gaḌe the
jo suli ke muqaddar mein rakhe the
hum aise bad-nasibon ke gale the
hamara waqt pura ho raha tha
kisi ke munh pe barah baj rahe the
aziyyat lutf dene lag gai thi
so naKHun se kalai kaTte the
mohabbat mujh ko kafir kar rahi hai
mere donon farishton ke gile the
zamin sona ugalne lag paDi thi
mere hathon ke chhaale baDh rahe the
shahanshah jab sitam Dhane pe aaya
KHuda chup tha magar hum to laDe the
koi sundar pujaran mar gai thi
tabhi to dewta roe hue the
koi taKHti nahin thi shahr-bhar mein
ki chaurahon pe bas murde gaDe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.