jo suraj ho to har manzar ujala kyun nahin karte
jo sūraj ho to har manzar ujālā kyuuñ nahīñ karte
ye āThoñ pahr kī rāteñ saverā kyuuñ nahīñ karte
ta.ajjub hai mujhī ko apnī mahfil meñ nahīñ dekhā
nahīñ dekhā agar tum ne to dekhā kyuuñ nahīñ karte
churātā hai vo pahle niiñd phir shoḳhī se kahtā hai
ye shab bhar jāgte rahte ho soyā kyuuñ nahīñ karte
hisāb-e-dostāñ ai dil ḳhayāl-e-nek hai lekin
tumhāre paas bhī dil hai tum aisā kyuuñ nahīñ karte
mire bhaa.ī agar tairāk banñā chāhte ho tum
to dariyā ke kināre se kināra kyuuñ nahīñ karte
uThā kar roz le jaatā hai mere ḳhvāb kā manzar
vo mujh se roz kahtā hai bharosa kyuuñ nahīñ karte
to din ko ishq kī bāteñ samajh hī meñ nahīñ aa.eñ
samajh hī meñ nahīñ aa.iiñ to samjhā kyuuñ nahīñ karte
diloñ kā qarz raqmoñ se adā hotā nahīñ 'ḳhālid'
bahut āsāñ hai ye kahnā taqāzā nahīñ karte
jo suraj ho to har manzar ujala kyun nahin karte
ye aaThon pahr ki raaten sawera kyun nahin karte
tajjub hai mujhi ko apni mahfil mein nahin dekha
nahin dekha agar tum ne to dekha kyun nahin karte
churaata hai wo pahle nind phir shoKHi se kahta hai
ye shab bhar jagte rahte ho soya kyun nahin karte
hisab-e-dostan ai dil KHayal-e-nek hai lekin
tumhaare pas bhi dil hai tum aisa kyun nahin karte
mere bhai agar tairak banna chahte ho tum
to dariya ke kinare se kinara kyun nahin karte
uTha kar roz le jata hai mere KHwab ka manzar
wo mujh se roz kahta hai bharosa kyun nahin karte
to din ko ishq ki baaten samajh hi mein nahin aaen
samajh hi mein nahin aain to samjha kyun nahin karte
dilon ka qarz raqmon se ada hota nahin 'KHalid'
bahut aasan hai ye kahna taqaza nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.