jo surat ishq ki paida na karta
jo sūrat ishq kī paidā na kartā
to koī husn kī puujā na kartā
mohabbat kā kabhī saudā na kartā
zamāna aap ko rusvā na kartā
firāq-e-dīd meñ taḌpā na kartā
to dil duniyā-e-ġham paidā na kartā
butoñ ke ishq meñ rusvā na kartā
ḳhudā kuchh aur kartā yā na kartā
agar ehsān ko bhūlā na kartā
bashar duniyā kā muñh kaalā na kartā
tumhāre āriz-e-rañgīñ ke hote
hasīnoñ kī koī parvā na kartā
surūr-e-dil agar hotā haqīqī
qayāmat nit-na.ī barpā na kartā
bil-āḳhir ham ne tum par jaan de dī
ye aalam thā ki martā kyā na kartā
agar saaqī kī āñkhoñ meñ khaTaktā
to bāda-ḳhvār kī parvā na kartā
jo hotā hosh mujh ko be-ḳhudī meñ
vafā ke raaz ko ifshā na kartā
ġhanī rahtā na dil jo āshiqī se
to shāyad husn ko tolā na kartā
udhar tum be-ruḳhī par 'shād' rahte
idhar maiñ dil kabhī mailā na kartā
jo surat ishq ki paida na karta
to koi husn ki puja na karta
mohabbat ka kabhi sauda na karta
zamana aap ko ruswa na karta
firaq-e-did mein taDpa na karta
to dil duniya-e-gham paida na karta
buton ke ishq mein ruswa na karta
KHuda kuchh aur karta ya na karta
agar ehsan ko bhula na karta
bashar duniya ka munh kala na karta
tumhaare aariz-e-rangin ke hote
hasinon ki koi parwa na karta
surur-e-dil agar hota haqiqi
qayamat nit-nai barpa na karta
bil-aKHir hum ne tum par jaan de di
ye aalam tha ki marta kya na karta
agar saqi ki aankhon mein khaTakta
to baada-KHwar ki parwa na karta
jo hota hosh mujh ko be-KHudi mein
wafa ke raaz ko ifsha na karta
ghani rahta na dil jo aashiqi se
to shayad husn ko tola na karta
udhar tum be-ruKHi par 'shad' rahte
idhar main dil kabhi maila na karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.