jo tab-e-did mili bhi to kya dikhai diya
jo tāb-e-dīd milī bhī to kyā dikhā.ī diyā
diloñ ke biich ajab fāsla dikhā.ī diyā
sahar kā niklā huā maiñ jo shaam ko lauTā
to mere ghar meñ koī dūsrā dikhā.ī diyā
ḳhalā meñ bas ga.e sab log ek ik kar ke
zamīñ pe jaane ye kyā hādisa dikhā.ī diyā
uḌāte jaate ho ḳhud ko ye kis taraf yaaro
safar meñ kyā koī rasta nayā dikhā.ī diyā
na raas aayā mujhe merī qurbatoñ kā safar
mirā ḳhayāl bhī mujh se judā dikhā.ī diyā
na baaḌh aa.ī na tūfān hī uThe imsāl
samundaroñ kā bharam TūTtā dikhā.ī diyā
tirī nigāh kī gahrā.iyoñ meñ dekhā to
mirā vajūd pighaltā huā dikhā.ī diyā
jahāñ pe saañs bhī lenā thā ek jurm 'zafar'
vahāñ bhī merā lahū boltā dikhā.ī diyā
jo tab-e-did mili bhi to kya dikhai diya
dilon ke bich ajab fasla dikhai diya
sahar ka nikla hua main jo sham ko lauTa
to mere ghar mein koi dusra dikhai diya
KHala mein bas gae sab log ek ek kar ke
zamin pe jaane ye kya hadisa dikhai diya
uDate jate ho KHud ko ye kis taraf yaro
safar mein kya koi rasta naya dikhai diya
na ras aaya mujhe meri qurbaton ka safar
mera KHayal bhi mujh se juda dikhai diya
na baDh aai na tufan hi uThe imsal
samundaron ka bharam TuTta dikhai diya
teri nigah ki gahraiyon mein dekha to
mera wajud pighalta hua dikhai diya
jahan pe sans bhi lena tha ek jurm 'zafar'
wahan bhi mera lahu bolta dikhai diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.