jo teri afshan sanwaren zindagi ai zindagi
jo terī afshāñ sañvāreñ zindagī ai zindagī
roz-o-shab aise guzāreñ zindagī ai zindagī
baḌh gayā dariyā kā paanī kaf uḌātā mauj mauj
uḌ ga.iiñ kūñjoñ kī Dāreñ zindagī ai zindagī
har taraf chhāyā huā hai ik sukūt-e-bekarāñ
phir bhī ham tujh ko pukāreñ zindagī ai zindagī
terī sūrat par gumān-e-dasht-o-sahrā haa.e haa.e
tere qadmoñ meñ bahāreñ zindagī ai zindagī
sar uThā.eñ daar par yādeñ sar-e-maqtal sadā
naqsh tere hī ubhāreñ zindagī ai zindagī
jin ke hoñToñ par sadā rahte haiñ tere zamzame
un ke sīnoñ meñ kaTāreñ zindagī ai zindagī
shahr hai āḳhir ye koī sard vīrāna nahīñ
jiine vaale dam na māreñ zindagī ai zindagī
deñ jo tujh ko fursat yak do nafas kī tohmateñ
un se bhī ham log hāreñ zindagī ai zindagī
duur tak miltā na ho nām-o-nishāñ terā jahāñ
ham vahāñ dāman pasāreñ zindagī ai zindagī
jo teri afshan sanwaren zindagi ai zindagi
roz-o-shab aise guzaren zindagi ai zindagi
baDh gaya dariya ka pani kaf uData mauj mauj
uD gain kunjon ki Daren zindagi ai zindagi
har taraf chhaya hua hai ek sukut-e-bekaran
phir bhi hum tujh ko pukaren zindagi ai zindagi
teri surat par guman-e-dasht-o-sahra hae hae
tere qadmon mein bahaaren zindagi ai zindagi
sar uThaen dar par yaaden sar-e-maqtal sada
naqsh tere hi ubhaaren zindagi ai zindagi
jin ke honTon par sada rahte hain tere zamzame
un ke sinon mein kaTaren zindagi ai zindagi
shahr hai aaKHir ye koi sard virana nahin
jine wale dam na maren zindagi ai zindagi
den jo tujh ko fursat yak do nafas ki tohmaten
un se bhi hum log haaren zindagi ai zindagi
dur tak milta na ho nam-o-nishan tera jahan
hum wahan daman pasaren zindagi ai zindagi
- Book : NuqooshVol. No. 61-62 (Pg. E-204 B-200)
- Publication : Idarah faroog Urdu, Lahore (Jan, Feb 1957)
- Edition : Jan, Feb 1957
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.