jo teri yaadon se is dil ka aaftab mile
jo terī yādoñ se is dil kā āftāb mile
to merī āñkhoñ ko dariyāoñ kā ḳhitāb mile
mire makān-e-tamannā kī sīḌhiyoñ pe kabhī
tirā shabāb mujhe sūrat-e-gulāb mile
kiran kī nokeñ chubhīñ tan meñ tab huā ehsās
ki ḳhanjaroñ kī tarah mujh se āftāb mile
tumhārī āñkhoñ ke in nīm-vā darīchoñ meñ
azāb-e-dīd kī sūrat shikasta ḳhvāb mile
gunāh ek hī donoñ kā hai to phir ye kyuuñ
use savāb mile aur mujhe azaab mile
mirā salām ġharīb-ul-vatan se kah denā
kabhī jo dasht meñ nezoñ pe āftāb mile
jo teri yaadon se is dil ka aaftab mile
to meri aankhon ko dariyaon ka KHitab mile
mere makan-e-tamanna ki siDhiyon pe kabhi
tera shabab mujhe surat-e-gulab mile
kiran ki noken chubhin tan mein tab hua ehsas
ki KHanjaron ki tarah mujh se aaftab mile
tumhaari aankhon ke in nim-wa darichon mein
azab-e-did ki surat shikasta KHwab mile
gunah ek hi donon ka hai to phir ye kyun
use sawab mile aur mujhe azab mile
mera salam gharib-ul-watan se kah dena
kabhi jo dasht mein nezon pe aaftab mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.