jo tez-rau the thi pairon mein jin ke jaan bahut
jo tez-rau the thī pairoñ meñ jin ke jaan bahut
vo log oḌh ke so.e haiñ ab thakān bahut
daroñ meñ qaid kahīñ iḳhtilāf hote haiñ
makīn ho ke bhī rahte haiñ be-makān bahut
na jaane shor uThā kar kahāñ se laa.ī hai
havā ne aaj dikhā.e haiñ mere kaan bahut
ye zindagī bhī ajab raah kī musāfir hai
kahīñ chaḌhān bahut hai kahīñ Dhalān bahut
ye raaz roz koī faash kar hī detā hai
zamīn ḳhud meñ sameTe hai āsmān bahut
zamīñ uThegī nahīñ āsmāñ jhukegā nahīñ
anā-parast haiñ donoñ ke ḳhāndān bahut
kisī kā dard sunūñgā to TuuT jā.ūñgā
mire liye hai faqat merī dāstān bahut
jo tez-rau the thi pairon mein jin ke jaan bahut
wo log oDh ke soe hain ab thakan bahut
daron mein qaid kahin iKHtilaf hote hain
makin ho ke bhi rahte hain be-makan bahut
na jaane shor uTha kar kahan se lai hai
hawa ne aaj dikhae hain mere kan bahut
ye zindagi bhi ajab rah ki musafir hai
kahin chaDhan bahut hai kahin Dhalan bahut
ye raaz roz koi fash kar hi deta hai
zamin KHud mein sameTe hai aasman bahut
zamin uThegi nahin aasman jhukega nahin
ana-parast hain donon ke KHandan bahut
kisi ka dard sununga to TuT jaunga
mere liye hai faqat meri dastan bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.