jo thamte the mera hath buDhe ho gae hain
jo thāmte the mirā haath būḌhe ho ga.e haiñ
tabhī to mere ḳhayālāt būḌhe ho ga.e haiñ
ab is se baḌh ke hameñ aur āzmā.egā kyā
ki chalte chalte tire saath būḌhe ho ga.e haiñ
hamārā bojh uThāne se ab gurezāñ haiñ
tumhāre arz-o-samāvāt būḌhe ho ga.e haiñ
safar mazīd kareñge to gir paḌeñge kahīñ
ki āte-jāte ye din-rāt būḌhe ho ga.e haiñ
jo mere sar kī safedī pe muskurāte the
bas ek raat rahe saath būḌhe ho ga.e haiñ
maiñ nasl-e-nau kā ise almiya samajhtā huuñ
shajar javāñ haiñ magar paat būḌhe ho ga.e haiñ
tumhārī samt se izn-e-kalām miltā nahīñ
mire laboñ pe savālāt būḌhe ho ga.e haiñ
jo thamte the mera hath buDhe ho gae hain
tabhi to mere KHayalat buDhe ho gae hain
ab is se baDh ke hamein aur aazmaega kya
ki chalte chalte tere sath buDhe ho gae hain
hamara bojh uThane se ab gurezan hain
tumhaare arz-o-samawat buDhe ho gae hain
safar mazid karenge to gir paDenge kahin
ki aate-jate ye din-raat buDhe ho gae hain
jo mere sar ki safedi pe muskuraate the
bas ek raat rahe sath buDhe ho gae hain
main nasl-e-nau ka ise almiya samajhta hun
shajar jawan hain magar pat buDhe ho gae hain
tumhaari samt se izn-e-kalam milta nahin
mere labon pe sawalat buDhe ho gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.