jo the muKhaalif hamin se hum ko wo dekh kar ke sanwar rahe hain
jo the muKhaalif hamin se hum ko wo dekh kar ke sanwar rahe hain
Abdullah Minhaj Khan
MORE BYAbdullah Minhaj Khan
jo the muḳhālif hamīñ se ham ko vo dekh kar ke sañvar rahe haiñ
vafā kī talqīn karne vaale vafā.eñ karne se Dar rahe haiñ
na miltā un ko magar milā hai yahī to qudrat kā faisla hai
jo log karte the kal takabbur vo Tuut kar ab bikhar rahe haiñ
tumhīñ ne kam-zarf kah ke jin ko nikāl rakkhā thā mahfiloñ se
vahī sitāre jo kal the Duube vo aaj dekho ubhar rahe haiñ
hazār vā'de kiye unhoñ ne magar vo vā'doñ pe aa na paa.e
bharosa jin pe kiyā thā ham ne zabāñ se apnī mukar rahe haiñ
jo toḌte the kisī ke dil ko samajh ke miTTī kā ik khilaunā
ye koī ham se batā rahā thā vo aaj ghuT ghuT ke mar rahe haiñ
suno ai 'minhāj' qais-o-līlā kī dāstān-e-vafā yahī hai
vafā ke raste pe marne vaale yahāñ hamesha amar rahe haiñ
jo the muKHalif hamin se hum ko wo dekh kar ke sanwar rahe hain
wafa ki talqin karne wale wafaen karne se Dar rahe hain
na milta un ko magar mila hai yahi to qudrat ka faisla hai
jo log karte the kal takabbur wo Tut kar ab bikhar rahe hain
tumhin ne kam-zarf kah ke jin ko nikal rakkha tha mahfilon se
wahi sitare jo kal the Dube wo aaj dekho ubhar rahe hain
hazar wa'de kiye unhon ne magar wo wa'don pe aa na pae
bharosa jin pe kiya tha hum ne zaban se apni mukar rahe hain
jo toDte the kisi ke dil ko samajh ke miTTi ka ek khilauna
ye koi hum se bata raha tha wo aaj ghuT ghuT ke mar rahe hain
suno ai 'minhaj' qais-o-lila ki dastan-e-wafa yahi hai
wafa ke raste pe marne wale yahan hamesha amar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.