jo tere aastan ke mare hain
jo tire āstāñ ke maare haiñ
asl meñ kahkashāñ ke maare haiñ
log milte haiñ phuul khilte haiñ
aur ham tum ḳhizāñ ke maare haiñ
kuchh haiñ jin ko zamīñ ne toḌā hai
aur kuchh āsmāñ ke maare haiñ
baat ahl-e-zabāñ kī mat kariye
ye to saare zabāñ ke maare haiñ
ġham hai ham ko bhī bevafā.ī kā
ham bhī ik mehrbāñ ke maare haiñ
hiir rāñjhā ki lailā majnūñ hoñ
ye to bas dāstāñ ke maare haiñ
ab to itnā yaqīn hai ham ko
ham 'ananyā' ke maare haiñ
jo tere aastan ke mare hain
asl mein kahkashan ke mare hain
log milte hain phul khilte hain
aur hum tum KHizan ke mare hain
kuchh hain jin ko zamin ne toDa hai
aur kuchh aasman ke mare hain
baat ahl-e-zaban ki mat kariye
ye to sare zaban ke mare hain
gham hai hum ko bhi bewafai ka
hum bhi ek mehrban ke mare hain
hir ranjha ki laila majnun hon
ye to bas dastan ke mare hain
ab to itna yaqin hai hum ko
hum 'ananya' ke mare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.