jo tere dard ka aazar liye phirte hain
jo tire dard kā āzār liye phirte haiñ
muzhda-e-tāle’-e-bedār liye phirte haiñ
ham har ik baat kā me'yār liye phirte haiñ
muft kā jaan ko āzār liye phirte haiñ
jis ke har ḳhaar meñ kaifiyyat-e-gul pinhāñ ho
ham tasavvur meñ vo gulzār liye phirte haiñ
tujh se kis ġham kī tamanna-e-talāfī karte
saikḌoñ ġham tire bīmār liye phirte haiñ
zindagī-bhar jo na ā.eñge zabāñ par shāyad
dil meñ ham aise bhī asrār liye phirte haiñ
dil meñ har chand yagānoñ kā gila hai lekin
lab pe ham shikva-e-aġhyār liye phirte haiñ
dair se us ko ta'alluq na haram se nisbat
jo taḌap tere talabgār liye phirte haiñ
ham tirī bazm meñ ho jaate haiñ shāmil to magar
aaj tak hasrat-e-guftār liye phirte haiñ
ye fazāoñ meñ bhaTakte hue zarre 'farhat'
ik na.e daur ke āsār liye phirte haiñ
jo tere dard ka aazar liye phirte hain
muzhda-e-tale’-e-bedar liye phirte hain
hum har ek baat ka me'yar liye phirte hain
muft ka jaan ko aazar liye phirte hain
jis ke har KHar mein kaifiyyat-e-gul pinhan ho
hum tasawwur mein wo gulzar liye phirte hain
tujh se kis gham ki tamanna-e-talafi karte
saikDon gham tere bimar liye phirte hain
zindagi-bhar jo na aaenge zaban par shayad
dil mein hum aise bhi asrar liye phirte hain
dil mein har chand yaganon ka gila hai lekin
lab pe hum shikwa-e-aghyar liye phirte hain
dair se us ko ta'alluq na haram se nisbat
jo taDap tere talabgar liye phirte hain
hum teri bazm mein ho jate hain shamil to magar
aaj tak hasrat-e-guftar liye phirte hain
ye fazaon mein bhaTakte hue zarre 'farhat'
ek nae daur ke aasar liye phirte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.