jo tere husn ke qarin se gae
jo tire husn ke qarīñ se ga.e
vo to duniyā samet diiñ se ga.e
vo ki rahtā thā jin makānoñ meñ
ab vo saare makāñ makīñ se ga.e
hausla is qadar kahāñ sab meñ
ham tire ishq-e-be-yaqīñ se ga.e
maut aa.ī hameñ tire dar par
ham ga.e bhī to āfrīñ se ga.e
ik tirā but tarāshne ke liye
kitne sajde mirī jabīñ se ga.e
jis jagah qais kā Thikāna thā
aaj ushshāq sab vahīñ se ga.e
us zamīñ-zād kī jhalak ke liye
kis qadar āsmāñ zamīñ se ga.e
āstīñ kyā ga.ī 'ḳhizar' merī
saare ahbāb āstīñ se ga.e
jo tere husn ke qarin se gae
wo to duniya samet din se gae
wo ki rahta tha jin makanon mein
ab wo sare makan makin se gae
hausla is qadar kahan sab mein
hum tere ishq-e-be-yaqin se gae
maut aai hamein tere dar par
hum gae bhi to aafrin se gae
ek tera but tarashne ke liye
kitne sajde meri jabin se gae
jis jagah qais ka Thikana tha
aaj ushshaq sab wahin se gae
us zamin-zad ki jhalak ke liye
kis qadar aasman zamin se gae
aastin kya gai 'KHizar' meri
sare ahbab aastin se gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.