jo tere husn ki qasmen hain uThane wale
jo tire husn kī qasmeñ haiñ uThāne vaale
vo kisī chāñd pe īmāñ nahīñ laane vaale
kaise mumkin hai ki ik ishq ke qaa.il hoñge
roz khiḌkī pe nayā parda lagāne vaale
terī ḳhushbū se samundar pe nasha taarī hai
duur sāhil pe khaḌe haath hilāne vaale
laash masjid se uThāte hue maañ chīḳh paḌī
kyā ḳhabar thī ye zamāne bhī haiñ aane vaale
ret par phuul haiñ 'shahbāz' baḌī hairat hai
dasht vo kyā hue majnūñ ke zamāne vaale
jo tere husn ki qasmen hain uThane wale
wo kisi chand pe iman nahin lane wale
kaise mumkin hai ki ek ishq ke qail honge
roz khiDki pe naya parda lagane wale
teri KHushbu se samundar pe nasha tari hai
dur sahil pe khaDe hath hilane wale
lash masjid se uThate hue man chiKH paDi
kya KHabar thi ye zamane bhi hain aane wale
ret par phul hain 'shahbaz' baDi hairat hai
dasht wo kya hue majnun ke zamane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.