jo tere ru-e-daraKHshan pe nazar rakhte hain
jo tere ru-e-daraKHshan pe nazar rakhte hain
Suman Dhingra Duggal
MORE BYSuman Dhingra Duggal
jo tire rū-e-daraḳhshāñ pe nazar rakhte haiñ
vo ḳhayāloñ meñ kahāñ shams-o-qamar rakhte haiñ
rāsta ye tirī chāhat kā nikālā ham ne
bas tire chāhne vāloñ pe nazar rakhte haiñ
vo bahut duur haiñ is baat kā ġham hai lekin
ye bahut hai vo mirī ḳhair-ḳhabar rakhte haiñ
ham tire ġham ko chhupā.eñ to chhupā.e kaise
dushmanī mujh se mire dīda-e-tar rakhte haiñ
bārhā bār-e-samar hañs ke uThāyā ham ne
shāḳh-e-nāzuk haiñ magar maañ kā jigar rakhte haiñ
phir tire zulm kī zad par na kahīñ aa jaa.eñ
aise mazlūm jo aahoñ meñ asar rakhte haiñ
sar-bulandī kā nasha jin ko chaḌhā hai saaqī
shauq se vo tirī dahlīz pe sar rakhte haiñ
manzileñ un kī qadam-bos huī haiñ aksar
ḳhud ko jo raah meñ sargarm-e-safar rakhte haiñ
ham 'suman' dard ke saa.e meñ tabassum lab par
rakhnā hotā to hai dushvār magar rakhte haiñ
jo tere ru-e-daraKHshan pe nazar rakhte hain
wo KHayalon mein kahan shams-o-qamar rakhte hain
rasta ye teri chahat ka nikala hum ne
bas tere chahne walon pe nazar rakhte hain
wo bahut dur hain is baat ka gham hai lekin
ye bahut hai wo meri KHair-KHabar rakhte hain
hum tere gham ko chhupaen to chhupae kaise
dushmani mujh se mere dida-e-tar rakhte hain
barha bar-e-samar hans ke uThaya hum ne
shaKH-e-nazuk hain magar man ka jigar rakhte hain
phir tere zulm ki zad par na kahin aa jaen
aise mazlum jo aahon mein asar rakhte hain
sar-bulandi ka nasha jin ko chaDha hai saqi
shauq se wo teri dahliz pe sar rakhte hain
manzilen un ki qadam-bos hui hain aksar
KHud ko jo rah mein sargarm-e-safar rakhte hain
hum 'suman' dard ke sae mein tabassum lab par
rakhna hota to hai dushwar magar rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.