jo teri bandagi se milta hai
jo tirī bandagī se miltā hai
lutf vo kam kisī se miltā hai
hai ye kaafī tirā mirā shajara
ek hī aadmī se miltā hai
laakh barham ho vo magar yaaro
phir bhī shā.istagī se miltā hai
din ko lagtā hai dhuup us kā mizāj
raat ko chāñdnī se miltā hai
ab to mujh ko vo merī rag rag meñ
dauḌtī sansanī se miltā hai
hoñ mah-o-mehr yā nujūm tamām
vo kisī na kisī se miltā hai
laakh bhaTkūñ maiñ zulmatoñ meñ mirā
ik sirā raushnī se miltā hai
qābil-e-dīd rang hote haiñ
jab kabhī sādgī se miltā hai
pahle merī ḳhushī se miltā thā
ab vo apnī ḳhushī se miltā hai
shukr-sad-shukr ki mirā zāhir
hālat-e-bātinī se miltā hai
jo mujhe maujib-e-masarrat hai
dard bhī to usī se miltā hai
us meñ har rang uud aayā hai
vo mirī shā.irī se miltā hai
gulshan-e-dil meñ jab bahāreñ hoñ
kaun phir bekalī se miltā hai
hijr meñ be-sukūn rahtā huuñ
chain bhī hijr hī se miltā hai
ab to is zindagī kā har lamha
lamha-e-āḳhirī se miltā hai
dekh kar zarf paas aatā hai
dard kam hī kisī se miltā hai
silsila-hā-e-vus.at-e-sahrā
dil kī us tishnagī se miltā hai
jab se vo aañkh ke frame meñ hai
jo hai miltā usī se miltā hai
ai muhaqqiq surāġh-e-qatl mirā
āḳhirash zindagī se miltā hai
roz vo DhūñDte haiñ 'tāhir' ko
roz us kī galī se miltā hai
jo teri bandagi se milta hai
lutf wo kam kisi se milta hai
hai ye kafi tera mera shajara
ek hi aadmi se milta hai
lakh barham ho wo magar yaro
phir bhi shaistagi se milta hai
din ko lagta hai dhup us ka mizaj
raat ko chandni se milta hai
ab to mujh ko wo meri rag rag mein
dauDti sansani se milta hai
hon mah-o-mehr ya nujum tamam
wo kisi na kisi se milta hai
lakh bhaTkun main zulmaton mein mera
ek sira raushni se milta hai
qabil-e-did rang hote hain
jab kabhi sadgi se milta hai
pahle meri KHushi se milta tha
ab wo apni KHushi se milta hai
shukr-sad-shukr ki mera zahir
haalat-e-baatini se milta hai
jo mujhe maujib-e-masarrat hai
dard bhi to usi se milta hai
us mein har rang ud aaya hai
wo meri shairi se milta hai
gulshan-e-dil mein jab bahaaren hon
kaun phir bekali se milta hai
hijr mein be-sukun rahta hun
chain bhi hijr hi se milta hai
ab to is zindagi ka har lamha
lamha-e-aKHiri se milta hai
dekh kar zarf pas aata hai
dard kam hi kisi se milta hai
silsila-ha-e-wusat-e-sahra
dil ki us tishnagi se milta hai
jab se wo aankh ke frame mein hai
jo hai milta usi se milta hai
ai muhaqqiq suragh-e-qatl mera
aaKHirash zindagi se milta hai
roz wo DhunDte hain 'tahir' ko
roz us ki gali se milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.