jo tujh mein KHas tha sab mujh pe aam ho chuka hai
jo tujh meñ ḳhaas thā sab mujh pe aam ho chukā hai
ai zindagī tirā qissa tamām ho chukā hai
ai ruuh tere badan chhoḌne kā Dar kaisā
ik ek saañs kā jab intizām ho chukā hai
vo ham ġharīboñ se ab koī baat kaise kare
amīr-e-shahr se jo ham-kalām ho chukā hai
ab us se rakkheñ bhī kyā zindagī kī ham ummīd
vo jis kī zaat se jiinā harām ho chukā hai
ye TuuTe phūTe hue sher ab sunā.ūñ kise
ki jis ko dekho ġhazal kā imaam ho chukā hai
hamāre baad kī nasloñ ko kyā ġharaz is se
baḌoñ kā honā thā jo ehtirām ho chukā hai
phir is ke baad to aanī hai raat hī 'shāhid'
agar ye sach hai ki ab vaqt-e-shām ho chukā hai
jo tujh mein KHas tha sab mujh pe aam ho chuka hai
ai zindagi tera qissa tamam ho chuka hai
ai ruh tere badan chhoDne ka Dar kaisa
ek ek sans ka jab intizam ho chuka hai
wo hum gharibon se ab koi baat kaise kare
amir-e-shahr se jo ham-kalam ho chuka hai
ab us se rakkhen bhi kya zindagi ki hum ummid
wo jis ki zat se jina haram ho chuka hai
ye TuTe phuTe hue sher ab sunaun kise
ki jis ko dekho ghazal ka imam ho chuka hai
hamare baad ki naslon ko kya gharaz is se
baDon ka hona tha jo ehtiram ho chuka hai
phir is ke baad to aani hai raat hi 'shahid'
agar ye sach hai ki ab waqt-e-sham ho chuka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.