jo tum aur subh aur gulnar-e-KHandan ho ke mil baiThe
jo tum aur subh aur gulnar-e-KHandan ho ke mil baiThe
Baqaullah 'Baqa'
MORE BYBaqaullah 'Baqa'
jo tum aur sub.h aur gulnār-e-ḳhandāñ ho ke mil baiThe
to ham bhī un meñ bā-chāk-e-garebāñ ho ke mil baiThe
nahīñ khulte jo luuñ us shahd-lab se bosa-e-sānī
ye lab yuuñ bosa-e-avval meñ chaspāñ ho ke mil baiThe
uḌā duuñ dhajjiyāñ dil kī agar in meñ se koī bhī
qabā-e-surḳh meñ terī garebāñ ho ke mil baiThe
ye juzv-e-ham-digar haiñ ai kamāñ-abrū ojab mat kar
jo dil tere sar-e-nāvak pe paikāñ ho ke mil baiThe
abhī dil jam.a hai ai shāna kar jaldī surāġh is kā
mabād us zulf-e-mushkīñ meñ pareshāñ ho ke mil baiThe
sunā ai tifl jab muzhda tirī maktab-nashīnī kā
ye ajzā-e-dil-e-sīpāra qur.āñ ho ke mil baiThe
hamārā rashk se dil jal ke ḳhākistar ho yā qismat
aur in dāmoñ meñ missī zeb-e-dandāñ ho ke mil baiThe
ye vo majma.a nahīñ nāseh jahāñ ho daḳhl daanā ko
magar tujh sā koī makkār nādāñ ho ke mil baiThe
ye insāñ zā parī-vash aise dilkash haiñ ki be-vahshat
parī aave agar in meñ to insāñ ho ke mil baiThe
ye atfāl-e-hasīñ āshiq kā jī lene meñ shaitāñ haiñ
jiye āshiq vahī un meñ jo shaitāñ ho ke mil baiThe
'baqā' ham gabr-e-nā-muslim the par aa kar ba-nā-chārī
vo muslim-zāda tifloñ meñ musalmāñ ho ke mil baiThe
jo tum aur subh aur gulnar-e-KHandan ho ke mil baiThe
to hum bhi un mein ba-chaak-e-gareban ho ke mil baiThe
nahin khulte jo lun us shahd-lab se bosa-e-sani
ye lab yun bosa-e-awwal mein chaspan ho ke mil baiThe
uDa dun dhajjiyan dil ki agar in mein se koi bhi
qaba-e-surKH mein teri gareban ho ke mil baiThe
ye juzw-e-ham-digar hain ai kaman-abru ojab mat kar
jo dil tere sar-e-nawak pe paikan ho ke mil baiThe
abhi dil jama hai ai shana kar jaldi suragh is ka
mabaad us zulf-e-mushkin mein pareshan ho ke mil baiThe
suna ai tifl jab muzhda teri maktab-nashini ka
ye ajza-e-dil-e-sipara quran ho ke mil baiThe
hamara rashk se dil jal ke KHakistar ho ya qismat
aur in damon mein missi zeb-e-dandan ho ke mil baiThe
ye wo majma nahin naseh jahan ho daKHl dana ko
magar tujh sa koi makkar nadan ho ke mil baiThe
ye insan za pari-wash aise dilkash hain ki be-wahshat
pari aawe agar in mein to insan ho ke mil baiThe
ye atfal-e-hasin aashiq ka ji lene mein shaitan hain
jiye aashiq wahi un mein jo shaitan ho ke mil baiThe
'baqa' hum gabr-e-na-muslim the par aa kar ba-na-chaari
wo muslim-zada tiflon mein musalman ho ke mil baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.