jo tum pe harf bhi aae to apna sar denge
jo tum pe harf bhī aa.e to apnā sar deñge
tumhāre log hameñ qatl bhī to kar deñge
tire ḳhutūt kī daulat to sauñp dī tujh ko
ye jī meñ hai ki tujhe azmat-e-hunar deñge
paḌhī hai us ne kahānī mirī risāle meñ
ab is pe log risāle bhī band kar deñge
use pukāro kahīñ dil meñ chhup gayā hai vo
ye ghar usī kā hai ham us ko saarā ghar deñge
dhaḌak rahā hai dil-e-bāġhbāñ bhī ġhunchoñ meñ
ye phuul to tirī zulfoñ meñ bhī sharar deñge
yahī samajh ke baḌe mutma.in haiñ dīvāne
qafas khulā hai to sayyād bāl-o-par deñge
vafā kī raah meñ ham uTh ga.e to tum hī kaho
vo kaun hoñge jo har sar ko sañg-e-dar deñge
jo tum pe harf bhi aae to apna sar denge
tumhaare log hamein qatl bhi to kar denge
tere KHutut ki daulat to saunp di tujh ko
ye ji mein hai ki tujhe azmat-e-hunar denge
paDhi hai us ne kahani meri risale mein
ab is pe log risale bhi band kar denge
use pukaro kahin dil mein chhup gaya hai wo
ye ghar usi ka hai hum us ko sara ghar denge
dhaDak raha hai dil-e-baghban bhi ghunchon mein
ye phul to teri zulfon mein bhi sharar denge
yahi samajh ke baDe mutmain hain diwane
qafas khula hai to sayyaad baal-o-par denge
wafa ki rah mein hum uTh gae to tum hi kaho
wo kaun honge jo har sar ko sang-e-dar denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.