jo tu kahta hai ai ghafil ye mera hai ye tera hai
jo tu kahta hai ai ghafil ye mera hai ye tera hai
Nazeer Akbarabadi
MORE BYNazeer Akbarabadi
jo tū kahtā hai ai ġhāfil ye merā hai ye terā hai
ye jis kā hai usī kā hai na terā hai na merā hai
tū avval soch to dil meñ ki tū hai kaun aur kyā hai
namāzī hai sharābī hai uchakkā hai luTerā hai
farishta hai parī hai dev hai yā aadmī jin hai
balā hai bhuut hai yāmun mazūrā yā kamerā hai
jab in chīzoñ se tū apne ta.iiñ kuchh chiiz Thahrā le
to us ke ba.ad phir kahiyo ye merā hai ye terā hai
ye chīzeñ to ġharaz kyā haiñ tū apnā hī nahīñ mālik
tujhe o be-ḳhabar nādāñ ye kis ġhaflat ne gherā hai
tū kachche suut kā dhāgā abas bal pech khātā hai
ye sab vahm-e-ġhalat hai aur qusūr-e-fahm terā hai
tū kyā jaane ki tujh ko kis ne kis charḳhe meñ kaatā hai
tū kyā jaane ki tujh ko kis aTeran meñ अटेरा hai
tamāshā hai mazā hai sair hai kyā kyā ahāhāhā
musavvir ne ajab kuchh rang qudrat kā bikherā hai
taraqqī meñ tanazzul hai tanazzul meñ taraqqī hai
añdhere meñ ujālā hai ujāle meñ añdherā hai
tilismāt-e-haqīqī hai ye kuchh samjhā nahīñ jaatā
yahī chāñd aur yahī sūraj yahī shaam aur saverā hai
'nazīr' allāh allah is jahāñ meñ dam ġhanīmat hai
kahāñ ham aur kahāñ phir tum koī dam kā baserā hai
jo tu kahta hai ai ghafil ye mera hai ye tera hai
ye jis ka hai usi ka hai na tera hai na mera hai
tu awwal soch to dil mein ki tu hai kaun aur kya hai
namazi hai sharabi hai uchakka hai luTera hai
farishta hai pari hai dew hai ya aadmi jin hai
bala hai bhut hai yamun mazura ya kamera hai
jab in chizon se tu apne tain kuchh chiz Thahra le
to us ke baad phir kahiyo ye mera hai ye tera hai
ye chizen to gharaz kya hain tu apna hi nahin malik
tujhe o be-KHabar nadan ye kis ghaflat ne ghera hai
tu kachche sut ka dhaga abas bal pech khata hai
ye sab wahm-e-ghalat hai aur qusur-e-fahm tera hai
tu kya jaane ki tujh ko kis ne kis charKHe mein kata hai
tu kya jaane ki tujh ko kis aTeran mein अटेरा hai
tamasha hai maza hai sair hai kya kya ahahaha
musawwir ne ajab kuchh rang qudrat ka bikhera hai
taraqqi mein tanazzul hai tanazzul mein taraqqi hai
andhere mein ujala hai ujale mein andhera hai
tilismat-e-haqiqi hai ye kuchh samjha nahin jata
yahi chand aur yahi suraj yahi sham aur sawera hai
'nazir' allah allah is jahan mein dam ghanimat hai
kahan hum aur kahan phir tum koi dam ka basera hai
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.