jo tu nahin to ye duniya ruki-ruki si lage
jo tu nahin to ye duniya ruki-ruki si lage
Vijendra Singh Parwaz
MORE BYVijendra Singh Parwaz
jo tū nahīñ to ye duniyā rukī-rukī sī lage
maiñ apnī shakl bhī dekhūñ to ajnabī sī lage
tire ḳhayāl se baḌh kar koī ḳhayāl nahīñ
añdhere ghar meñ mujhe kaisī raushnī sī lage
jo tere ruup kā charchā karūñ bahāroñ se
to phuul phuul kī rangat uḌī uḌī sī lage
jo terī bāhoñ meñ dam toḌnā muyassar ho
to mujh ko maut kī aamad bhī zindagī sī lage
kisī ke hukm kā pāband ho ke kyā paayā
ke ab to saañs bhī aa.e to ḳhud-kushī sī lage
tamām umr ye sochā hai sher kahte hue
hamārī shā.irī 'parvāz' shā.irī sī lage
jo tu nahin to ye duniya ruki-ruki si lage
main apni shakl bhi dekhun to ajnabi si lage
tere KHayal se baDh kar koi KHayal nahin
andhere ghar mein mujhe kaisi raushni si lage
jo tere rup ka charcha karun bahaaron se
to phul phul ki rangat uDi uDi si lage
jo teri bahon mein dam toDna muyassar ho
to mujh ko maut ki aamad bhi zindagi si lage
kisi ke hukm ka paband ho ke kya paya
ke ab to sans bhi aae to KHud-kushi si lage
tamam umr ye socha hai sher kahte hue
hamari shairi 'parwaz' shairi si lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.