jo tufanon se laDta hai wahi sahil se milta hai
jo tūfānoñ se laḌtā hai vahī sāhil se miltā hai
kiye bin hausla koī kahāñ manzil se miltā hai
manā.eñ saath apnoñ ke jise raazī ḳhushī mil kar
vo pal sansār meñ yaaro baḌī mushkil se miltā hai
milā kartā hai ab insān se insān rasman hī
ġhalat-fahmī na paalo ye ki koī dil se miltā hai
khiñchā aatā hai ḳhud ash'ār paḌhne ko isī jānib
suḳhanvar ko musalsal pyaar jis mahfil se miltā hai
baḌī sharmindagī mahsūs hotī hai use ḳhud par
anā kā taaḌ jab insāniyat ke til se miltā hai
jo tufanon se laDta hai wahi sahil se milta hai
kiye bin hausla koi kahan manzil se milta hai
manaen sath apnon ke jise raazi KHushi mil kar
wo pal sansar mein yaro baDi mushkil se milta hai
mila karta hai ab insan se insan rasman hi
ghalat-fahmi na palo ye ki koi dil se milta hai
khincha aata hai KHud ash'ar paDhne ko isi jaanib
suKHanwar ko musalsal pyar jis mahfil se milta hai
baDi sharmindagi mahsus hoti hai use KHud par
ana ka taD jab insaniyat ke til se milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.