jo us ka khel tha ya dil lagi thi
jo us kā khel thā yā dil lagī thī
vahī mere liye dil kī lagī thī
milā thā jab talak na saath terā
adhūrī kis qadar ye zindagī thī
samundar kī tarah dil thā ye be-kal
ajab halchal mire andar rahī thī
manāzir ho ga.e the gum yā shāyad
mirī hī aañkh be-manzar rahī thī
banā hai ajnabī lagtā nahīñ hai
kabhī mujh se koī vābastagī thī
añdherā ho gayā jaane se us ke
usī ke dam se har sū raushnī thī
'sabīha' us kī bātoñ meñ thā jaadū
sahar meñ is kī dīvānī huī thī
jo us ka khel tha ya dil lagi thi
wahi mere liye dil ki lagi thi
mila tha jab talak na sath tera
adhuri kis qadar ye zindagi thi
samundar ki tarah dil tha ye be-kal
ajab halchal mere andar rahi thi
manazir ho gae the gum ya shayad
meri hi aankh be-manzar rahi thi
bana hai ajnabi lagta nahin hai
kabhi mujh se koi wabastagi thi
andhera ho gaya jaane se us ke
usi ke dam se har su raushni thi
'sabiha' us ki baaton mein tha jadu
sahar mein is ki diwani hui thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.