jo walihana lagan mujhko apne fan se hai
jo vālihāna lagan mujh ko apne fan se hai
isī tarah kī mohabbat mujhe vatan se hai
guzarnā garche hameñ tīrgī ke ban se hai
hamārā vāsta ummīd kī kiran se hai
vaqār-e-sar nahīñ dastār-o-tāj kā muhtāj
vaqār-e-sar jo hai qaa.em to bas kafan se hai
hai fasl-e-qurb koī dūriyāñ na phailā.e
mo.āmla to yahāñ ruuh kā badan se hai
go merī pyaas meñ shāmil hai āb-e-zam-zam bhī
pe parvarish to mirī gang aur jaman se hai
tirā bayān to ik inkishāf hai 'yūnus'
ki dil kī baat numāyāñ suḳhan suḳhan se hai
jo walihana lagan mujh ko apne fan se hai
isi tarah ki mohabbat mujhe watan se hai
guzarna garche hamein tirgi ke ban se hai
hamara wasta ummid ki kiran se hai
waqar-e-sar nahin dastar-o-taj ka muhtaj
waqar-e-sar jo hai qaem to bas kafan se hai
hai fasl-e-qurb koi duriyan na phailae
moamla to yahan ruh ka badan se hai
go meri pyas mein shamil hai aab-e-zam-zam bhi
pe parwarish to meri gang aur jaman se hai
tera bayan to ek inkishaf hai 'yunus'
ki dil ki baat numayan suKHan suKHan se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.