jo waqif hai zamane ke chalan se
jo vāqif hai zamāne ke chalan se
vo bach jā.egā daur-e-pur-fitan se
unhī kī hai pas-e-parda ye sāzish
bahut mash.hūr the jo bhol-pan se
sar-e-bātil jhukā hai aur jhukegā
raheñge ham hamesha bāñkpan se
jise tīr-o-tabar bhī kar na paa.e
liyā hai kaam ham ne vo suḳhan se
jo phūloñ se hamārī dostī hai
ka.ī kāñTe juḌe haiñ pairahan se
latāfat dekhiye urdu zabāñ kī
ki jaise phuul jhaḌte hoñ dahan se
tumheñ jab bhī taḳhayyul meñ utārā
na.ī ḳhushbū uThī hai phir badan se
kisī ke vāste ham ne bhī 'ushba'
chune haiñ phuul ulfat ke chaman se
jo waqif hai zamane ke chalan se
wo bach jaega daur-e-pur-fitan se
unhi ki hai pas-e-parda ye sazish
bahut mashhur the jo bhol-pan se
sar-e-baatil jhuka hai aur jhukega
rahenge hum hamesha bankpan se
jise tir-o-tabar bhi kar na pae
liya hai kaam hum ne wo suKHan se
jo phulon se hamari dosti hai
kai kanTe juDe hain pairahan se
latafat dekhiye urdu zaban ki
ki jaise phul jhaDte hon dahan se
tumhein jab bhi taKHayyul mein utara
nai KHushbu uThi hai phir badan se
kisi ke waste hum ne bhi 'ushba'
chune hain phul ulfat ke chaman se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.