jo wafa ke ahd ke paband hain
jo vafā ke ahd ke pāband haiñ
ab jahāñ meñ log aise chand haiñ
jo laḌeñ jamhūriyat ke vāste
ab vahī haqdār-e-qaid-o-band haiñ
rashk un par kījiye jo aaj bhī
diin kī daulat se bahra-mand haiñ
sab pe apnā aap zāhir hai magar
jaane phir bhī log kyoñ ḳhursand haiñ
ham ko kaḌvāhaT se kuchh matlab nahīñ
ham jahāñ vāloñ kī ḳhātir qand haiñ
ḳhushbuoñ kī aaḌ meñ 'parvāz' ab
bechte kuchh log har dam gand haiñ
jo wafa ke ahd ke paband hain
ab jahan mein log aise chand hain
jo laDen jamhuriyat ke waste
ab wahi haqdar-e-qaid-o-band hain
rashk un par kijiye jo aaj bhi
din ki daulat se bahra-mand hain
sab pe apna aap zahir hai magar
jaane phir bhi log kyon KHursand hain
hum ko kaDwahaT se kuchh matlab nahin
hum jahan walon ki KHatir qand hain
KHushbuon ki aaD mein 'parwaz' ab
bechte kuchh log har dam gand hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.