jo wahshat ki yahi hai kar-farmai to kya hoga
jo wahshat ki yahi hai kar-farmai to kya hoga
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar
jo vahshat kī yahī hai kār-farmā.ī to kyā hogā
ḳhizāñ aa.e to kyā hogā bahār aa.ī to kyā hogā
mire tār-e-garebāñ se sadā aa.ī to kyā hogā
huī jāma-darī se un kī rusvā.ī to kyā hogā
hai ḳhud-bīnī kī vaa.iz kār-farmā.ī to kyā hogā
jo ho kar āgahī bhī kuchh na kaam aa.ī to kyā hogā
shab-e-hijrāñ sitāre bhī to āñkheñ pher letī haiñ
balā ho jā.egī jab shām-e-tanhā.ī to kyā hogā
ġhurūr-e-husn meñ ā.īna dekhoge to kyā loge
rahegī jab na baaqī shān-e-yaktā.ī to kyā hogā
janāb-e-shaiḳh maiḳhāne meñ vaa.iz ban ke aate haiñ
nikal aa.e jo rindoñ se shanāsā.ī to kyā hogā
karoge kyā jo hir-phir kar kisī kī yaad phir aa.ī
purānī choT agar dil par ubhar aa.ī to kyā hogā
masarrat hai dil-e-muztar ko fasl-e-gul kī aamad par
tabī.at fasl-e-gul meñ aur ghabrā.ī to kyā hogā
musavvir mahvashoñ meñ soch le anjām-e-kār apnā
koī tasvīr agar dil meñ utar aa.ī to kyā hogā
nashāt-e-zindagī to raas aatī hī nahīñ mujh ko
na kī āḳhir ko ġham ne bhī pazīrā.ī to kyā hogā
zarā socho adāvat hai tumheñ aisī jo 'ḳhushtar' se
kabhī 'ḳhushtar' ke dil meñ bhī ye baat aa.ī to kyā hogā
jo wahshat ki yahi hai kar-farmai to kya hoga
KHizan aae to kya hoga bahaar aai to kya hoga
mere tar-e-gareban se sada aai to kya hoga
hui jama-dari se un ki ruswai to kya hoga
hai KHud-bini ki waiz kar-farmai to kya hoga
jo ho kar aagahi bhi kuchh na kaam aai to kya hoga
shab-e-hijran sitare bhi to aankhen pher leti hain
bala ho jaegi jab sham-e-tanhai to kya hoga
ghurur-e-husn mein aaina dekhoge to kya loge
rahegi jab na baqi shan-e-yaktai to kya hoga
janab-e-shaiKH maiKHane mein waiz ban ke aate hain
nikal aae jo rindon se shanasai to kya hoga
karoge kya jo hir-phir kar kisi ki yaad phir aai
purani choT agar dil par ubhar aai to kya hoga
masarrat hai dil-e-muztar ko fasl-e-gul ki aamad par
tabiat fasl-e-gul mein aur ghabrai to kya hoga
musawwir mahwashon mein soch le anjam-e-kar apna
koi taswir agar dil mein utar aai to kya hoga
nashat-e-zindagi to ras aati hi nahin mujh ko
na ki aaKHir ko gham ne bhi pazirai to kya hoga
zara socho adawat hai tumhein aisi jo 'KHushtar' se
kabhi 'KHushtar' ke dil mein bhi ye baat aai to kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.