jo wahshaton ke safar se niDhaal ho gae hain
jo vahshatoñ ke safar se niDhāl ho ga.e haiñ
vo saare log mire ham-ḳhayāl ho ga.e haiñ
vo jis galī se hameñ mustarad kiyā gayā thā
ham us galī meñ dobāra bahāl ho ga.e haiñ
hamāre dast-e-hunar kī riyāzatoñ ke tufail
bahut se log yahāñ bā-kamāl ho ga.e haiñ
javāb dene kī jin meñ salāhiyat hī nahīñ
unhīñ se log sarāpā savāl ho ga.e haiñ
usī kī aaj bhī rahtī haiñ muntazir āñkheñ
jise judā hue pachchīs saal ho ga.e haiñ
mohabbatoñ kī luġhat ke vo lafz haiñ ham log
jo nafratoñ ke liye ik vabāl ho ga.e haiñ
jo wahshaton ke safar se niDhaal ho gae hain
wo sare log mere ham-KHayal ho gae hain
wo jis gali se hamein mustarad kiya gaya tha
hum us gali mein dobara bahaal ho gae hain
hamare dast-e-hunar ki riyazaton ke tufail
bahut se log yahan ba-kamal ho gae hain
jawab dene ki jin mein salahiyat hi nahin
unhin se log sarapa sawal ho gae hain
usi ki aaj bhi rahti hain muntazir aankhen
jise juda hue pachchis sal ho gae hain
mohabbaton ki lughat ke wo lafz hain hum log
jo nafraton ke liye ek wabaal ho gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.