jo ye kahun to qanaat pe harf aata hai
jo ye kahūñ to qanā.at pe harf aatā hai
charāġh ḳhud nahīñ jaltā jalāyā jaatā hai
vo aadmī jo zamāne se dil lagātā hai
qadam qadam pe fareb-e-hayāt khātā hai
hayāt-e-ishq meñ vo manzileñ bhī aatī haiñ
jahāñ pe maslahatan muskurāyā jaatā hai
chaman meñ ḳhaar kī sūrat agar rahā bhī to kyā
vo phūlban jo chaman ko chaman banātā hai
kalī kī dil-shikanī rang lā ke rahtī hai
guloñ meñ khelne vaalā ye bhuul jaatā hai
ye jāntā hai ki bijlī jalā ke chhoḌegī
banāne vaalā magar āshiyāñ banātā hai
hayāt jehd-e-musalsal kā naam hai yaaro
nasīb ḳhud nahīñ bantā banāyā jaatā hai
sanam-kade meñ bhī dekhā hai in nigāhoñ ne
ḳhudā ko DhūñDne vaalā ḳhudā ko paatā hai
ajiib baat hai unvāñ badal badal ke 'nihāl'
zamāna mujh ko fasāne mire sunātā hai
jo ye kahun to qanaat pe harf aata hai
charagh KHud nahin jalta jalaya jata hai
wo aadmi jo zamane se dil lagata hai
qadam qadam pe fareb-e-hayat khata hai
hayat-e-ishq mein wo manzilen bhi aati hain
jahan pe maslahatan muskuraya jata hai
chaman mein KHar ki surat agar raha bhi to kya
wo phulban jo chaman ko chaman banata hai
kali ki dil-shikani rang la ke rahti hai
gulon mein khelne wala ye bhul jata hai
ye jaanta hai ki bijli jala ke chhoDegi
banane wala magar aashiyan banata hai
hayat jehd-e-musalsal ka nam hai yaro
nasib KHud nahin banta banaya jata hai
sanam-kade mein bhi dekha hai in nigahon ne
KHuda ko DhunDne wala KHuda ko pata hai
ajib baat hai unwan badal badal ke 'nihaal'
zamana mujh ko fasane mere sunata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.