jo zaKHm lage hain mere dil par nahin dekha
jo zaḳhm lage haiñ mire dil par nahīñ dekhā
tum ne mirā hāl-e-dil-e-muztar nahīñ dekhā
āñkhoñ meñ to barbādī-e-gulshan kā thā manzar
phūloñ kī taraf aañkh uThā kar nahīñ dekhā
taqdīr meñ the hī nahīñ ārām ke lamhe
ġhurbat meñ kaTī umr kabhī ghar nahīñ dekhā
shāyad koī dīvāna nahīñ aaj sar-e-rāh
hāthoñ meñ kisī tifl ke patthar nahīñ dekhā
katrā ke guzar jaatī hai jis dar se masarrat
nādār kā tum ne kabhī vo ghar nahīñ dekhā
maujoñ ke thapeḌoñ se na hogā kabhī vāqif
jis ne kabhī dariyā meñ utar kar nahīñ dekhā
thiiñ manzil-e-fardā kī taraf merī nigāheñ
maazī kī taraf maiñ ne palaT kar nahīñ dekhā
'ma.asūm' kahūñ kis se mohabbat kā fasāna
ik ḳhvāb thā jo maiñ ne mukarrar nahīñ dekhā
jo zaKHm lage hain mere dil par nahin dekha
tum ne mera haal-e-dil-e-muztar nahin dekha
aankhon mein to barbaadi-e-gulshan ka tha manzar
phulon ki taraf aankh uTha kar nahin dekha
taqdir mein the hi nahin aaram ke lamhe
ghurbat mein kaTi umr kabhi ghar nahin dekha
shayad koi diwana nahin aaj sar-e-rah
hathon mein kisi tifl ke patthar nahin dekha
katra ke guzar jati hai jis dar se masarrat
nadar ka tum ne kabhi wo ghar nahin dekha
maujon ke thapeDon se na hoga kabhi waqif
jis ne kabhi dariya mein utar kar nahin dekha
thin manzil-e-farda ki taraf meri nigahen
mazi ki taraf main ne palaT kar nahin dekha
'masum' kahun kis se mohabbat ka fasana
ek KHwab tha jo main ne mukarrar nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.