jo zamane ko bahar-kaif dagha dete hain
jo zamāne ko bahar-kaif daġhā dete haiñ
kyā tamāsha hai vahī dars-e-vafā dete haiñ
zindagī bojh hai ye bojh uThānā hai muhāl
phir bhī mohsin mujhe jiine kī duā dete haiñ
ḳhūn-e-dil ḳhūn-e-jigar kis pe luTā.e koī
apne apnoñ hī ko jab ġhair banā dete haiñ
lāla-o-gul se maiñ manzil kā pata kyoñ pūchhūñ
raah ke ḳhaar hī jab raah batā dete haiñ
vaqt ke saath badal jaatī hai duniyā kī nazar
vaqt achchhā ho to dushman bhī duā dete haiñ
ḳhair guzrī rah-e-hastī meñ haiñ 'lāġhar' tanhā
log kahte haiñ ki rahbar bhī daġhā dete haiñ
jo zamane ko bahar-kaif dagha dete hain
kya tamasha hai wahi dars-e-wafa dete hain
zindagi bojh hai ye bojh uThana hai muhaal
phir bhi mohsin mujhe jine ki dua dete hain
KHun-e-dil KHun-e-jigar kis pe luTae koi
apne apnon hi ko jab ghair bana dete hain
lala-o-gul se main manzil ka pata kyon puchhun
rah ke KHar hi jab rah bata dete hain
waqt ke sath badal jati hai duniya ki nazar
waqt achchha ho to dushman bhi dua dete hain
KHair guzri rah-e-hasti mein hain 'laghar' tanha
log kahte hain ki rahbar bhi dagha dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.