jo zaruri hai wahi kaam kar nahin pa raha
jo zarūrī hai vahī kaam kar nahīñ pā rahā
ki maiñ zindagī tire naam kar nahīñ pā rahā
vahī dekhtā huā tū mujhe baḌe ġhaur se
vahī maiñ jo tujh se kalām kar nahīñ pā rahā
kisī dūsre ke bhī bas kī baat nahīñ agar
tirā kaam terā ġhulām kar nahīñ pā rahā
maiñ shurū' kar ke ulajh gayā huuñ burī tarah
ki ye kār-e-'ishq tamām kar nahīñ pā rahā
nahīñ chhup rahā ye junūñ bhī mujh se kisī tarah
maiñ tamāsha bhī sar-e-'ām kar nahīñ pā rahā
ka.ī log us se gale mile mire sāmne
to maiñ kis ke Dar se salām kar nahīñ pā rahā
jo zaruri hai wahi kaam kar nahin pa raha
ki main zindagi tere nam kar nahin pa raha
wahi dekhta hua tu mujhe baDe ghaur se
wahi main jo tujh se kalam kar nahin pa raha
kisi dusre ke bhi bas ki baat nahin agar
tera kaam tera ghulam kar nahin pa raha
main shuru' kar ke ulajh gaya hun buri tarah
ki ye kar-e-'ishq tamam kar nahin pa raha
nahin chhup raha ye junun bhi mujh se kisi tarah
main tamasha bhi sar-e-'am kar nahin pa raha
kai log us se gale mile mere samne
to main kis ke Dar se salam kar nahin pa raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.