jo zindagi bachi hai use Khaar kya karen
jo zindagī bachī hai use ḳhaar kyā kareñ
ham bhī tumhāre hote magar yaar kyā kareñ
haiñ band sab dukāneñ ki bāzār-e-ishq meñ
miltā nahīñ hai ham sā ḳharīdār kyā kareñ
laḌte rahe havā se jalāte rahe charāġh
ab aur raushnī ke talabgār kyā kareñ
ahbāb chal diye tire darbār kī taraf
aur ham ki aa ga.e haiñ sar-e-dār kyā kareñ
sīdhī sī baat ye hai hameñ tum se pyaar hai
sheroñ meñ is ḳhayāl kī takrār kyā kareñ
ham jaan de chuke haiñ ka.ī baar ishq meñ
ab ye batāo 'shād' ki is baar kyā kareñ
jo zindagi bachi hai use KHar kya karen
hum bhi tumhaare hote magar yar kya karen
hain band sab dukanen ki bazar-e-ishq mein
milta nahin hai hum sa KHaridar kya karen
laDte rahe hawa se jalate rahe charagh
ab aur raushni ke talabgar kya karen
ahbab chal diye tere darbar ki taraf
aur hum ki aa gae hain sar-e-dar kya karen
sidhi si baat ye hai hamein tum se pyar hai
sheron mein is KHayal ki takrar kya karen
hum jaan de chuke hain kai bar ishq mein
ab ye batao 'shad' ki is bar kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.