jo zindagi mein kabhi justuju nahin karta
jo zindagī meñ kabhī justujū nahīñ kartā
mirā ḳhudā bhī use suraḳh-rū nahīñ kartā
ye merā dil to dhaḌaktā hai zāhiran lekin
kisī bhī shai kī ye dil aarzū nahīñ kartā
kisī ke qurb ne mujh ko banā diyā shā.ir
vagarna shā.irī maiñ to kabhū nahīñ kartā
kisī ne dekh liyā to kahegā dīvāna
jo apnā chāk-e-garebāñ rafū nahīñ kartā
jo jaisā hai use vaisā hī ye dikhātā hai
ye aa.ina to kabhī bhī ġhulū nahīñ kartā
maiñ aise shaḳhs kī āñkhoñ ko paak samjhūñgā
nazar jo sū-e-zan-e-ḳhūb-rū nahīñ kartā
faqīr huuñ tire dar kā tujhe sadā dī hai
ai jān-e-jāñ maiñ sadā kū-ba-kū nahīñ kartā
vo jis ne beach ke zevar tujhe paḌhāyā thā
ajab hai phone tak us maañ ko tū nahīñ kartā
hamārā ishq abhī hāl-e-ehtizār meñ hai
to phir use koī kyoñ qibla-rū nahīñ kartā
mahak rahī haiñ fazā.eñ guloñ kī ḳhushbū se
chaman meñ rah ke tū ehsās-e-bū nahīñ kartā
zamīn-e-sher ho banjar to us zamīñ pe kabhī
daraḳht sher-o-suḳhan kā numū nahīñ kartā
kitāb-e-ishq ko chhūne ke vāste 'nūrī'
vuzū zarūrī hai to kyoñ vuzū nahīñ kartā
jo zindagi mein kabhi justuju nahin karta
mera KHuda bhi use suraKH-ru nahin karta
ye mera dil to dhaDakta hai zahiran lekin
kisi bhi shai ki ye dil aarzu nahin karta
kisi ke qurb ne mujh ko bana diya shair
wagarna shairi main to kabhu nahin karta
kisi ne dekh liya to kahega diwana
jo apna chaak-e-gareban rafu nahin karta
jo jaisa hai use waisa hi ye dikhata hai
ye aaina to kabhi bhi ghulu nahin karta
main aise shaKHs ki aankhon ko pak samjhunga
nazar jo su-e-zan-e-KHub-ru nahin karta
faqir hun tere dar ka tujhe sada di hai
ai jaan-e-jaan main sada ku-ba-ku nahin karta
wo jis ne beach ke zewar tujhe paDhaya tha
ajab hai phone tak us man ko tu nahin karta
hamara ishq abhi haal-e-ehtizar mein hai
to phir use koi kyon qibla-ru nahin karta
mahak rahi hain fazaen gulon ki KHushbu se
chaman mein rah ke tu ehsas-e-bu nahin karta
zamin-e-sher ho banjar to us zamin pe kabhi
daraKHt sher-o-suKHan ka numu nahin karta
kitab-e-ishq ko chhune ke waste 'nuri'
wuzu zaruri hai to kyon wuzu nahin karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.