josh-e-junun mein aap ka aanchal pakaD liya
josh-e-junūñ meñ aap kā āñchal pakaḌ liyā
ghabrā ke ek saañp ne sandal pakaḌ liyā
aañsū ba-zid ki saath hamāre hī jā.egā
lekin ghanerī palkoñ ne kājal pakaḌ liyā
ye mashvara hai aap bhī ham-rāz DhūñD leñ
ham ne to ik mahalle kā pāgal pakaḌ liyā
tere tasavvurāt se fursat nahīñ mujhe
is bhuut ne to gaañv kā pīpal pakaḌ liyā
ham ḳhud ko 'aql-mand jatāte to kis tarah
so ye kiyā ik 'aql se paidal pakaḌ liyā
josh-e-junun mein aap ka aanchal pakaD liya
ghabra ke ek sanp ne sandal pakaD liya
aansu ba-zid ki sath hamare hi jaega
lekin ghaneri palkon ne kajal pakaD liya
ye mashwara hai aap bhi ham-raaz DhunD len
hum ne to ek mahalle ka pagal pakaD liya
tere tasawwuraat se fursat nahin mujhe
is bhut ne to ganw ka pipal pakaD liya
hum KHud ko 'aql-mand jatate to kis tarah
so ye kiya ek 'aql se paidal pakaD liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.