josh-e-junun mein raat din sab se raha alag alag
josh-e-junun mein raat din sab se raha alag alag
Nawab Sadr Mahal Sadr
MORE BYNawab Sadr Mahal Sadr
josh-e-junūñ meñ raat din sab se rahā alag alag
maiñ huuñ judā alag alag log judā alag alag
maiñ ne balā.eñ lene ko haath baḌhā.e jab udhar
muñh ko phirā ke yaar ne mujh se kahā alag alag
sham.a jalāne aa.e haiñ aaj vo merī qabr par
chaliyo ḳhudā ke vāste bād-e-sabā alag alag
ḳhaak ho zindagī bhalā tere marīz-e-ishq kī
maiñ huuñ davā se duur duur mujh se davā alag alag
hijr meñ ḳhuub ḳhaak uḌī un ko huā na kuchh asar
naale ga.e alag alag āh-e-rasā alag alag
hasrat-o-ārzū-e-vasl dard-o-musībat-e-firāq
sab kā hai lutf alag alag sab kā maza alag alag
'sadr' vo kam-nasīb huuñ hijr meñ gar uThā.ūñ haath
bāb-e-qubūl se rahe merī duā alag alag
josh-e-junun mein raat din sab se raha alag alag
main hun juda alag alag log juda alag alag
main ne balaen lene ko hath baDhae jab udhar
munh ko phira ke yar ne mujh se kaha alag alag
shama jalane aae hain aaj wo meri qabr par
chaliyo KHuda ke waste baad-e-saba alag alag
KHak ho zindagi bhala tere mariz-e-ishq ki
main hun dawa se dur dur mujh se dawa alag alag
hijr mein KHub KHak uDi un ko hua na kuchh asar
nale gae alag alag aah-e-rasa alag alag
hasrat-o-arzu-e-wasl dard-o-musibat-e-firaq
sab ka hai lutf alag alag sab ka maza alag alag
'sadr' wo kam-nasib hun hijr mein gar uThaun hath
bab-e-qubul se rahe meri dua alag alag
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 87)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.